Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai
Log Milte Hain Juda Hote Hai
Kab Bichad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa .....
Baat Nikli Thi Is Zamane Ki
Jisko Aadat Hai Bhul Jane Ki
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa .....
Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa .....
Ghazal Lyrics - Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai by asha Bhonsle
Labels: asha bhonsle, ghazal lyrics, ghazals
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai by Ghulam ali
Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Humko ab tak ashiqui ka voh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din asu bahana yaad hai
Khench le na woh mera parde ka kona daffatan
aur dupatte se tera voh munh chupana yaad hai
Humko ab tak ashiqui ka voh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulane ke liye
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak ashiqui ka voh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din asu bahana yaad hai
Labels: ghazal lyrics, ghazals, ghulam ali
Koyi Fariyad Tere Dil me from Tum bin by Jagjit Singh
Koyi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jagte Jagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jagte Jagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jan Baki Baki Hai Magar Sas Ruki Ho Jaise
Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon
Har Mulakat Pe Mehsos Yehi Hota Hai
Har Mulakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon
MainIs Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
Welcome to ghazal lyrics blog
This blog is dedicated to the beautiful world of ghazals.
Ghazal lyrics will be posted on the site and your comments
will be highly appreciated.
Labels: ghazal lyrics, ghazals